Saturday, October 20, 2012

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kahaan Ho Tum Ke Yeh Dil Bekaraar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Woh Vaadiyan Woh Fazayen Ke Hum Mile The Jahan, Woh Vaadiyan Woh Fazayen Ke Hum Mile The Jahan, Meri Wafa Ka Wahi Par Mazaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Na Jaane Dekh Ke Kyu Unko Yeh Hua Ehsaas, Na Jaane Dekh Ke Kyu Unko Yeh Hua Ehsaas, Ke Mere Dil Pe Unhe Ekhtiyaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Wafa Ki Raag Mein, Ghayaal Woh Pyaar Aaj Bhi Hain, Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya. Yakeen Nahi Hain Magar, Aaj Bhi Yeh Lagta Hain, Yakeen Nahi Hain Magar, Aaj Bhi Yeh Lagta Hain, Meri Talaash Mein Shayad Bahaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Na Puch Kitne Mohabbat Ke Zakhm Khaye Hain, Na Puch Kitne Mohabbat Ke Zakhm Khaye Hain, Ke Jinko Soch Ke Dil Saugawar Aaj Bhi Hain Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Wafa Ki Raag Mein, Ghayaal Woh Pyaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kahaan Ho Tum Ke Yeh Dil Bekaraar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Zindagi Kya Koi Nisaar Kare, Kisse Duniya Main Koi Pyaad Kare, Apna Saaya Bhi Apna Dushman Hain, Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare, Aitbaar Kare.

Sunday, October 14, 2012

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai....@ Sahar

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai Zindagi k rastay may, bichnay walay kanton ko Rah say hatanay main Aik aik tinkay say, aashiaan bananay main Khushbuaain pakarnay main, gulistaan sajanay main Umr kaat daytay hain Umr kaat daytay hain.... Or apnay hissay k phool bant daytay hain Kaisi kaisi khwahish ko,qatl kartay jatay hain Umeed k Gulistan main abar ban kay rehtay hain Sabr kay samandar may kishtiaan chalatay hain Yeh nahi kay in ko iss,roz-o-shab ki kahish ka Kuch sila nahi milta Marnay wali aason ka, Khoon baha nahi milta Zindagi kay daman may jis qadar bhi khushyan hain Sab hi haath aati hain Sab hi mil bhi jati hain waqt per nahi aateen..... Waqt per nahi milteen, Yaani un ko mehnat ka, Ajar mil tu jata hai Laikin is tarha jaisay Qarz ki raqam koi..qist qist ho jaay Asal jo ibaarat ho, pass-e-nawisht ho jaay Fasl-e-gul kay aakhir may phool in kay khiltay hain In kay sehen may sooraj dair say nikaltay hain