Meri mohabbat k donon aalam tamam roshan tamam mohkam,,
Main yad karna bhi janta hoon ,
Main yad aana bhi janta hoon,
Nazar nazar main ha kamrani ,
Magar koi muskara k dekhay,
To haar jana bhi janta hoon.
Mujhay sumandar k panion main kisi ki khatir to dobna ha,
Agarchay lehron k darmian se main par jana bhi janta hoon.
ZMS
No comments:
Post a Comment