Saturday, October 20, 2012

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain

Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kahaan Ho Tum Ke Yeh Dil Bekaraar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Woh Vaadiyan Woh Fazayen Ke Hum Mile The Jahan, Woh Vaadiyan Woh Fazayen Ke Hum Mile The Jahan, Meri Wafa Ka Wahi Par Mazaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Na Jaane Dekh Ke Kyu Unko Yeh Hua Ehsaas, Na Jaane Dekh Ke Kyu Unko Yeh Hua Ehsaas, Ke Mere Dil Pe Unhe Ekhtiyaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Wafa Ki Raag Mein, Ghayaal Woh Pyaar Aaj Bhi Hain, Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya. Yakeen Nahi Hain Magar, Aaj Bhi Yeh Lagta Hain, Yakeen Nahi Hain Magar, Aaj Bhi Yeh Lagta Hain, Meri Talaash Mein Shayad Bahaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Na Puch Kitne Mohabbat Ke Zakhm Khaye Hain, Na Puch Kitne Mohabbat Ke Zakhm Khaye Hain, Ke Jinko Soch Ke Dil Saugawar Aaj Bhi Hain Woh Pyaar Jiske Liye Hum Ne Chhod Di Duniya, Wafa Ki Raag Mein, Ghayaal Woh Pyaar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain, Kahaan Ho Tum Ke Yeh Dil Bekaraar Aaj Bhi Hain, Kisi Nazar Ko Tera Intezaar Aaj Bhi Hain. Zindagi Kya Koi Nisaar Kare, Kisse Duniya Main Koi Pyaad Kare, Apna Saaya Bhi Apna Dushman Hain, Kaun Ab Kiska Aitbaar Kare, Aitbaar Kare.

Sunday, October 14, 2012

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai....@ Sahar

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai Zindagi k rastay may, bichnay walay kanton ko Rah say hatanay main Aik aik tinkay say, aashiaan bananay main Khushbuaain pakarnay main, gulistaan sajanay main Umr kaat daytay hain Umr kaat daytay hain.... Or apnay hissay k phool bant daytay hain Kaisi kaisi khwahish ko,qatl kartay jatay hain Umeed k Gulistan main abar ban kay rehtay hain Sabr kay samandar may kishtiaan chalatay hain Yeh nahi kay in ko iss,roz-o-shab ki kahish ka Kuch sila nahi milta Marnay wali aason ka, Khoon baha nahi milta Zindagi kay daman may jis qadar bhi khushyan hain Sab hi haath aati hain Sab hi mil bhi jati hain waqt per nahi aateen..... Waqt per nahi milteen, Yaani un ko mehnat ka, Ajar mil tu jata hai Laikin is tarha jaisay Qarz ki raqam koi..qist qist ho jaay Asal jo ibaarat ho, pass-e-nawisht ho jaay Fasl-e-gul kay aakhir may phool in kay khiltay hain In kay sehen may sooraj dair say nikaltay hain

Friday, November 20, 2009

For a Special one

Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai...
Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar...

Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
Merey Hontoon Pe Rahte Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...

Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon...
Ager Yeh Juram Hai Jan! To Aa Jana Saza Ban Kar...

Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main...
Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar...

Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar...

Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...

Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meray Ho Jao Gi Aik Din ...
Tumharey Dil Main Utroon Gi Muhabbat Ki Sada Ban Kar...

Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khud Ban Kar...

Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main ...
Terey Aangan Main Aati Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar...

Jiger Ka Khoon Layi Hoon Terey Singhar Ki Khatir...
Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar...

Tumhein Jab Yaad Kartaa Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai...
Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Saad Ban Kar...

Monday, June 8, 2009

Barsoan k baad dekha

barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
ab zahan men nahiin hai par naam thaa
bhalaa saaabaruu khinche khinche se aankhen jhukii jhukii sii
baaten rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa
alfaaz they k jugnuu aavaaz k safar men
ban jaaye jangalon men jis tarah raastaa saa
Khvaabon men Khvaab us k yaadon men yaad us kii
niindon men ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa saa
pahale bhii log aaye kitane hii zindagii men
vo har tarah se lekin auron se thaa judaa saa
agalii muhabbaton ne vo naamuraadiyaan diin
taazaa rafaaqaton se dil thaa Daraa Daraa saa
kuch ye ke muddaton se ham bhii nahiin the roye
kuch zahar men bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa
phir yuun huaa ke saavan aankhon men aa base the
phir yuun huaa ke jaise dil bhii thaa aablaa saa
ab sach kahen to yaaro ham ko Khabar nahiin thii
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa saa
tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa
ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq thaa zoam ham ko jab vo nahiin thaa pyaasaa
ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa

khizan me hum mille

Khizan me hum mille or patjhar ki tarah bichar gaye
najany ye kaisi hawa chali sab k sab rishtay bikhar gaye
koi na aas rahi zindgi me ab mjhy,
kuch sapne apno k hi hatho ujar gaye
liye ankhon me ansu dar ba dar phirtay hain ab,
aj koi kandha b nhi apne yar b badal gaye
karta tha jinki wafa ki batain me aksar
wohi mere apne sapno ki tarah bikhar gaye

GHAFIL NAHEE RAHA

GO MAIN RAHA RAHEENAIN SITTAM HAYAT E ROZGAR

MAGGAR TERE KHAIYAL SAY GHAFIL NAHEEN RAHA